1947 Earth – Ye Jo Zindagi Hai Song Lyrics

This Bollywood movie released in the year 1998 and was directed by Ms Deepa Mehta. The film is based on the novel penned by Bapsi Sidhwa titled “Cracking India.” The star cast of the film is inclusive of Nandita Das, Aamir Khan and Rahul Khanna in the lead roles along with Maia Sethna, Kitu Gidwani, Shabana Azmi, Kulbhushan Kharbanda, Rajendra Kumar, Pavan Malhotra and Arif Zakaria in supporting characters. The music composition for the songs of the film is done by A.R Rahman.

Album: 1947 Earth

Song: Ye Jo Zindagi Hai


Lyrics

Jo afsaane dil ne buney
Unko koi dil hi suney
Hum haule haule pyaar ki dhundhli fizayon meinaaye
Gehre gehre hain khwaab ki neeli ghatayon ke saaye
Hum tum dono khoye khoye sapne dekhein jaage soye
Gumsum hairaan
(Ye jo zindagi hai koi dastaan hai
Kab hoga kya ye khabar kahan hai
Ye jo zindagi hai koi carvaan hai
Kahan jayegi ye khabar kahan hai) – 2

Behti hain chingariyaan jaise sar se paon tak nas nas mein
Halka halka hosh hai lekin kuchh bhi nahin ab mere bas mein
Mere ang ang mein becheini bijli banke lehraaye
Ek meethe meethe dard ka badal tan man par chhaye
Saansein uljhein dhadkein
Lekin jaane kaisi meri mushkil hogi aasaan
(Ye jo zindagi hai koi dastaan hai
Kab hoga kya ye khabar kahan hai
Ye jo zindagi hai koi carvaan hai
Kahan jayegi ye khabar kahan hai) – 2

Jo afsaane dil ne buney
Unko koi dil hi suney
Hum haule haule pyaar ki dhundhli fizayon meinaaye
Gehre gehre hain khwaab ki neeli ghatayon ke saaye
Hum tum dono khoye khoye
Sapne dekhein jaage soye gumsum hairaan
(Ye jo zindagi hai koi dastaan hai
Kab hoga kya ye khabar kahan hai
Ye jo zindagi hai koi carvaan hai
Kahan jayegi ye khabar kahan hai) – 3

Behti hain chingariyaan jaise sar se paon tak nas nas mein
Halka halka hosh hai lekin kuchh bhi nahin ab mere bas mein
Mere ang ang mein becheini bijli
Banke lehraaye
Ek meethe meethe dard ka badal
Tan man par chhaye saansein uljhein dhadkein
Lekin jaane kaisi meri mushkil hogi aasaan
(Ye jo zindagi hai koi dastaan hai
Kab hoga kya ye khabar kahan hai
Ye jo zindagi hai koi carvaan hai
Kahan jayegi ye khabar kahan hai) – 2