Vivah – Kal Jisne Janam Yaha Paya Song Lyrics

Vivah: A Journey From Engagement To Marriage is a 2006 film by Rajshri Productions. The story, screenplay, and direction are by Sooraj R. Barjatya. The film starred Shahid Kapoor, and Amrita Raso as the lead pairs. The story was inspired by a newspaper article published in 1988 as asserted by the director. It is set in a fictional town near Delhi and deals with marriage relationship between an upper-class business family with a middle class.

Album: Vivah

Song: Kal Jisne Janam Yaha Paya


Lyrics

Kal jisne janam yaha paya kal jisko zulene zulaya – 2
Najdik sulaya godi me uthaya
Kandhe pe ghumaya jise chalna sikhaya
Kya ye wohi ladka hai – 4

Kal tak jo nanhi si lali thi komal si juhi ki kali thi – 2
Wo totali boli are kitani bhali thi
Wo jiske sima bas ghar se gali thi
Kya ye wohi ladki hai – 4

Prep se lekar primary tak primary se phir dasavi tak
School me choda schoolse laya
Barso maine ye niyam nibhaya
Is ghar me bholu jo kehlata tha
Teacher se bhji jo sharmata tha
Dekh aapki ladki ko dil jiska dhadaka hai
Jiske jawa sine me aaj ek shola bhadka hai
Kya ye wohi chhutka hai
Kya ye wohi ladka hai

Ha ye wohi chhutka hai
Ha ye wohi ladka hai

Titaliyo ke piche jo dauda karti thi
Pariyo ke chitro me rang bharti thi
Kab ye kali se phool ban gayi
Prem si jodi prem ki dori
Kab mai bhudha hua na jana
Jane kab ye ho gayi kishori
Gudiyo ki shadi kal jisne rachayi
Honewali hai kal jiski bidayi
Milke jise mere shehjade ki tabiyat fadki hai
Milke jise chote sahab ki tabiyat fadaki hai
Kya ye wohi ladki hai – 2
Ha ye wohi ladki hai
Bahu aapke ghar ki hai

Chuna ek duje ko tumne lakho me karodo me
Joda amar ho tumhara pyaar bhare jodo me
Mausam aaye mausam jaye tumhara jivan aur sajaye
Samay ki dhara me hum to beh jayenge
Hamare bol tumhare sang reh jayenge
Woh maryadaye woh paramparaye jo humne nibhayi
Woh ye bhi nibhaye bas yahi kehna hai
Bas yahi kehna hai – 3