Aa Gale Lag Ja – Waada Karo Nahin Chhodogi Song Lyrics

Conducted on the basis of a memorable story by Smt. Jeevanprabha M. Desai, Aa Gale Lag Jaa is a classical Hindi romantic segment which stars Sharmila Tagore, Shashi Kapoor, and Shatrughan Sinha in lead roles. The story narrates the love story of a wealthy medical student who falls in love with a man of less royalty/dignity than her while she’s on a journey to Simla.

Album: Aa Gale Lag Ja

Song: Waada Karo Nahin Chhodogi


Lyrics

–male–
O thehro meri jaan
(Waada karo nahin chhodogi tum mera saath
Jahan tum ho, vahan main bhi hoon) – 2

–female–
(Chhuo nahin dekho zara peechhe rakho haath
Jawaan tum ho, jawaan main bhi hoon) – 2

–male–
Suno meri jaan, hanske mujhe yeh keh do
Bheege labon ki narmi mere liye hai
Ho, jawaan nazar ki masti mere liye hai
Haseen ada ki shokhi mere liye hai
Mere liye leke aayi ho yeh saugaat
Jahan tum ho, vahan main bhi hoon

–female–
Chhuo nahin dekho zara peechhe rakho haath
Jawaan tum ho, jawaan main bhi hoon
Mere hi peechhe aakhir pade ho tum kyoon
Ek main jawaan nahin hoon, aur bhi to hai
Oh, mujhe hi ghere aakhir khade ho tum kyoon
Main hi yahan nahin hoon, aur bhi to hai
Jaao jaake le lo jo bhi de de tumhe haath
Jahan sab hai, vahan main bhi hoon

–male–
Waada karo nahin chhodogi tum mera saath
Jahan tum ho, vahan main bhi hoon

–female–
(La la la la la)

–male–
Jawaan kayi hai, lekin jahan mein koi
Tum si haseen nahin hai, hum kya kare

–female–
Oh, tumhe miloon main iska tumhe yakeen hai
Humko yakeen nahin hai, hum kya kare
Aise nahin bhoolo zara dekho aukaat

–male–
Kisi ka to dena hoga, de do mera saath
Jahan tum ho, vahan main bhi hoon

–female–
Chhuo nahin dekho zara peechhe rakho haath
Jawaan tum ho, jawaan main bhi hoon

–male–
Jahan tum ho, vahan main bhi hoon

–female–
La la la la, la la la la la

–male–
La la la la, la la la la la