Aadmi (1968) – Aaj Purani Raahon Se Song Lyrics

Aaj Purani Raahon Se Lyrics from Aadmi (1968): The song is sung by Mohammed Rafi, composed by Naushad with lyrics written by Shakeel Badayuni and it features Dilip Kumar.


Aaj purani raahon se
Koi mujhe aawaz na de
Dard mein doobey geet na de
Gham ka sisakta saz na deBeete dinon ki yaad thi jinmein
Maein woh tarane bhool chuka
Aaj nai manzil hai meri,
Kal ke thikaane bhool chuka
Na woh dil na sanam,
Na woh deen dharam
Ab door hoon sare gunahon se
Aaj purani rahon se
Koi mujhe aawaz na deToot chuke sab pyar ke bandhan
Aaj koi zanjeer nahin,
Sheesha-e-dil mein armaanon ki,
Aaj koi tasveer nahin
Ab shaad hoon maein aazad hoon maein,
Kuch kaam nahin hai aahon se,
Aaj purani rahon se
Koi mujhe aawaz na deJeevan badalaa, duniyaan badalee,
Man ko anokhaa gyaan milaa
Aaj mujhe apane hee dil me, ek nayaa insaan mila
Pahuchaa hoo wahaa, naheen door jahaa
Bhagwaan bhee meri nigaahon se
Aaj purani rahon se
Koi mujhe aawaz na de


Singer: Mohammed Rafi

Lyricist: Shakeel Badayuni

Music: Naushad