Aadmi (1968) – Kaisi Haseen Aaj Bahaaro Ki Raat Hai Song Lyrics

Starring Waheeda Rehman, Dilip Kumar, Simi Garewal, Manoj Kumar, and Pran, Aadmi (1968) is a Bollywood drama segment which was directed by A Bhimsingh. The story revolves around a young, orphanaged, and precarious man who belongs to a stately and affluent family. Sung by Lata Mangeshkar, ‘Kal Ke Sapne Aaj Bhi’ is a very good song!

Album: Aadmi (1968)

Song: Kaisi Haseen Aaj Bahaaro Ki Raat Hai


Lyrics

Kaisi haseen aaj bahaaro ki raat hai
Ek chaand aasmaan pe hai, ek mere saath hai
O dene waale tune to koyi kamee na kee
Abb kisko kya mila, yeh muqaddar ki baat hai

Chhaaya hai husno ishq pe ek range bekhudi – (2)
Aate hai jindagi mein yeh aalam kabhi kabhi
Har ghum ko bhul jaao, khushi ki baaraat hai
Ek chaand aasmaan pe hai, ek mere saath hai

Aayi hai woh bahaar ke nagame ubal pade
Aisi khushi mili hai ke aansoo nikal pade
Honto pe hai duwaaye, magar dil pe haath hai
Abb kisko kya mila, yeh muqaddar ki baat hai

Masti simat ke pyaar ke gulshan mein aa gayi – (2)
Meri khushi bhi aapke daaman mein aa gayi
Bhavra kali se dur nahi, saath saath hai
Abb kisko kya mila, yeh muqaddar ki baat hai
Kaisi haseen aaj bahaaro ki raat hai
Ek chaand aasmaan pe hai, ek mere saath hai