Aag Aur Toofan – Sawan Ki Ghata Payal Ki Sada Song Lyrics

This Bollywood movie released in the year 1975 and was directed by Mr Tanvir Ahmed. The star cast for the film is inclusive of Robin Kumar, Mumtaz and Anwar Hussain in the lead roles along with Rajan Haskar, Meenaxi, Mohan Choti, Rajen Kapoor, Rekha Chauvan, Uma Dhawan, Sheikh, Amar, Tun Tun, Mona and Uma Dutt in supporting characters. The music composition for the songs of the film is done by Mr N. Dutta.

Album: Aag Aur Toofan

Song: Sawan Ki Ghata Payal Ki Sada


Lyrics

Sawan ki ghata payal ki sada
Kaliyo ki najakat kahte hai
Aye yar kahi tu wo to nahi
Jise log kyamat kahte hai
Sawan ki ghata

(In julfo ka jane raz hai kya
In aankho ka ye andaz hai kya) – (2)
Yu koi sitam dhaye to sanam
Hum usko inayat kahte hai
Sawan ki ghata

(Phulo ka guman bhi jhutha hai
Jannat ka bharam bhi tuta hai) – (2)
In sabse kahi wo jajba hasi
Jise teri mohabbat kahte hai
Sawan ki ghata

(Pucha hai sitaro se maine
Kyu nind nahi aati mujhko) – (2)
Hai teri kasam wo isko sanam
Teri hi sararat kahte hai
Sawan ki ghata payal ki sada
Kaliyo ki najakat kahte hai
Aye yar kahi tu wo to nahi
Jise log kyamat kahte hai
Sawan ki ghata