Aag – Rab Mere Araj Sun Meri Song Lyrics

Revealing the debut of Raj Kapoor as a director and producer, Aag 1948 is about a young man who unwilling does the will of his father of sustaining the family’s custom of becoming a successful lawyer. Famous actress Nargis along with other stars – Premnath, Nigar Sultana, Kamal Kapoor, and Kamini Kaushal are also casted in this fantastic Bollywood segment.

Album: Aag

Song: Rab Mere Araj Sun Meri


Lyrics

Rab mere araj sun meri sharan abb teri
Jis din se gaya dil mera dukho ne ghera
Rab mere araj sun……….

Kyun ruth rahe kartaar meri sarkaar
Bataate jaao – 2
Kya humse ho gayi bhul
Humein batlaao – 2
Padu na paiya na ho naaraaz mere sartaaj
Ye dil abb tera jis din se gaya
Rab mere araj sun……….

Padi dil ki duniya suni idhar bhi dekho
Idhar bhi aao – 2
Sab khade huye behaal zara muskaao
Na ab tarasaao laga aise nazar ka tir
Kaleja chir gaya jo mera
Jis din se gaya………

Meri sunte jaao baat
Tumhaare jod raha huun main haath – 2
Kyun mujhse jaate dur mere o nur
Nibha do saath – 2
Zara baitho hason muskaao humein behlaao basa do dera
Jis din se gaya………
Haay rab mere araj sun……….