Aah – Jaane Na Najar Pehachaane Jigar Song Lyrics

Featuring Raj Kapoor and Nargis in starring roles, Aah is a Bollywood romantic film number which was directed during the black-and-white period of 1953 by Raja Nawathe. The story is about a widowed businessperson’s son who is settled in Allahabad. The production company for this movie was R.K. Films.

Album: Aah

Song: Jaane Na Najar Pehachaane Jigar


Lyrics

(Jaane na najar pehachaane jigar, ye kaun jo dil par chhaaya
Mera ang ang muskaaya) – 2

Aawaaz yeh kiski aati hai, jo chhed ke dil ko jaati hai – 2
Main sun ke jise sharma jaau, hai kaun jo mujh mein samaaya
Mera ang ang muskaya – 2
Jaane na najar pehachaane jigar, ye kaun jo dil par chhaaya
Mujhe roz roz tadapaaya – 2

Dhudenge usse hum taaro mein, saawan ki thandi bahaaro mein – 2
Par ham bhi kisi se kam toh nahi, kyon rup ko apne chhupaaya
Mujhe roz roz tadapaaya – 2
Jaane na najar pehachaane jigar, ye kaun jo dil par chhaaya
Mera ang ang muskaaya – 2

Bin dekhe jisko pyaar karu, gar dekhu us ko jaan bhi doon – 2
Ek baar kaho o jaadugar, yeh kaun sa khel rachaaya
Meraa ang ang muskaaya – 2
Jaane na najar pehachaane jigar, ye kaun jo dil par chhaaya
Mera ang ang muskaaya – 2