Aai Bahar – Do Zulmi Naina Maar Gaye Song Lyrics

Presenting S.D. Batish and Pt. Amarnath as lead vocalist and music composer, Aai Bahar is a 1946 Bollywood Hindi portion which was directed by Shankar Mehta. It was formed under the production of Ganga Production which casted Ramesh Charlie, Om Prakash, Ajmal, Asha Posle, and Irshad.

Album: Aai Bahar

Song: Do Zulmi Naina Maar Gaye


Lyrics

Do zulmi nainaa maar gaye
Vo jeet gaye ham haar gaye
Main kaa karu
Kuchh vo darein duniyaa se
Kuchh main daru

Zakami dil le kar jaauun kahaan, koi bole
Yaa hamein bana le apana yaa mera ho le
Jug jug vo jiyen jag mein aur main maru
Kuchh vo darein duniya se
Kuchh main daru
Do zulmi naina maar gaye
Vo jeet gaye ham haar gaye
Main kaa karu

Ik rog niraala ham ne paala,
Kayaa karoon bata de koi sunne waala
Ro ro pukaare dil nainon ne maara
Sukh mein kate din mere hai koi payaara
Jug jug vo jiyein jag mein aur main maru
Kuchh vo darein duniya se
Kuchh main daru
Do zulmi naina maar gaye
Vo jeet gaye ham haar gaye
Main kaa karu