Aaj Aur Kal – Raja Saheb Ghar Nahin Song Lyrics

Established under the direction and production of Vasant Joglekar, Aaj Aur Kal is a 1963 Bollywood offering which falls under the category of drama films. The main characters of this film were performed by Sunil Dutt, Nanda, Raaj Kumar, Tanuja, Ashok Kumar and Deven Verma. It presents the beautiful voices of Asha Bhosle and Mohammad Rafi.

Album: Aaj Aur Kal

Song: Raja Saheb Ghar Nahin


Lyrics

Ba adad ba mulaheja ba hosiyar
Nahi nahi beadab be mulahija be muhar
(Raja sahab ghar nahi hamko kisi ka dar nahi
Aaj to gardan unchi karke kahenge ham so bar
Beadab be mulahija be muhar
Ba adad ba mulaheja ba hosiyar) – 2

Nachenge aur gayenge chikhenge chilayenge
Man marjee ka pahnenge mann marji ka khayenge
Mahal ki unchi diwaro se door hai pahredar
Beadab be mulahija be muhar
Ba adad ba mulaheja ba hosiyar
Chup gaddar

Ankhe jhuki jhuki ho kyun sanse ruki ruki ho kyun
Rajaji jab yaha nahi to bate ho betooki kyun
Aaj ke deen to band karo ye jhoot ka karobar
Beadab be mulahija be muhar
Ba adad ba mulaheja ba hosiyar

Rajo or sultano ka kissa gaye jamano ka – 2
Insano ke age kyun shish jhooke insano ka
Aye samjha yug inn rasmo se hai bejar
Beadab be mulahija be muhar
Ba adad ba mulaheja ba hosiyar