Aaj – Woh Kagaz Ki Kashti Wo Barish Ka Pani Song Lyrics

Aaj is a 1987 Hindi movie from the Bhatt camp which was hoping to cash in on the success of the previous hit ‘Naam.’ Kumar Gaurav played the lead role trying to find his kidnapped sister. Many fans of Akshay Kumar do not know that before making his debut through Saugandh in 1991, he appeared in a small role in this film where he is acting as a Karate instructor to the heroine.

Album: Aaj

Song: Woh Kagaz Ki Kashti Wo Barish Ka Pani


Lyrics

Ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo
Bhale chhin mujhse meri jawani
Magar mujhko lota de bachpan ka sawan
Woh kagaz ki kashti wo barish ka pani – 2

Muhalle ki sabse purani shaan
Woh bhudhiya jise bache kehte the naani
Woh naani ki bato me pariyo ka dera
Woh chehre ki jhuriyo me sadiyo ka khera
Bhulaye nahi bhul sakta hai koi
Bhulaye nahi bhul sakta hai koi
Woh chhoti si raat wo lambi kahani – 2

Kadi dhup me mai ghar se na niklna
Woh chidiya wo bulabul wo titliyo ka ghar
Woh gudiya ki shadi pe ladna jhagdana
Woh jhulo se girna wo girke sambhalna
Woh pipal ke chhalo ke pyare se kante – 2
Woh tuti huyi churiyo ki nishani
Woh kagaz ki kashti wo barish ka pani – 3

Kabhi ret ke unche tiilon pe jana
Gharounde banana banake mitana
Woh masum chahat ki tasvir apani
Woh khawabo khilono ki jagir apani
Na duniya ka gam tha na rishton ke bandhan – 2
Badi khubasurat thi woh zindgani – 4