Aakhri Sajda – Nazar Milao Pata Chalega Song Lyrics

Initially released in the year 1977, Aakhri Sajda is a drama filled Hindi film which features Tabrez, Maya Sinha, Veena, Murad, Husn Bano, Jagdeep, Helen, and Nazir Kashmiri in lead roles. Sajjad Hussain has performed well by supplying superior quality music for the film. Mohammad Rafi’s ‘Bula Lo Dar Pe Habib E Khuda’ is one of the top tracks from the movie.

Album: Aakhri Sajda

Song: Nazar Milao Pata Chalega


Lyrics

Nazar milao pata chalega – 2
Ke husn kya hai shabab kya hai
Wo zindgi ka surur hu main – 2
Ke mere aage sharab kya hai

Aaaaaa aaa mmmm – 3

Jawan nazre
Ghuli huyi hai
Hasin bahe khuli huyi hai
Tumhe kasam hai meri kasam hai – 2
Karib aao hijab kya hai

(Ye honth jaise
Bhare ho sagar) – (2)
(Mein sar se pao
Tak tamam mahshar) – (2)
Mere badan ki misal kya hai – 2
Mere labo ka jawab kya hai

Aaaaaa aaa aaaa hmmmm – 2

Kaha ki duniya
Kaha ki uqba
Na mujhko darr hai
Na koi parwah
Aaaa aaaa aaaaa
Jo dil jawan hai to kaun soche – 2
Sabab kya hai
Azab kya hai
Nazar milao pata chalega
Ke husn kya hai shabab kya hai
Wo zindgi ka surur hu me
Ke mere aage sharab kya hai