Aamne Saamne (1967) – Nain Milaakar Chain Churaana, Kiska Hai Yeh Kaam Song Lyrics
Featuring Shashi Kapoor, Sharmila Tagore, Prem Chopra, Rajindernath and Madan Puri, Aamne Samne (1967) is a Suraj Prakash produced Bollywood offering. The film presents the story of an innocent man who is blamed for his wife’s kill. He later changes his identity and marries another woman. However, he becomes a suspect even this time when his second wife is attempted to kill.
Album:Â Aamne Saamne (1967)
Song:Â Nain Milaakar Chain Churaana, Kiska Hai Yeh Kaam
Lyrics
Nain milaakar chain churaana, kiska hai yeh kaam – (2)
Humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam – (2)
Nain milaakar chain churaana, kiska hai yeh kaam
Humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam
Woh aaya toh kho gayi, yeh saari mehfil – (2)
Dekha iss andaaj se, sab kho baithe dil
Thoda sa woh meherbaan, tohda sa kaatil – (2)
Woh jisaki har ek ada par laakhon hai iljaam – (2)
Humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam
Nain milaakar chain churaana, kiska hai yeh kaam
Are humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam
Kisaka gussa hai bhala jispe aaye pyaar – (2)
Aisa dushman haay re jisko saamajhe yaar
Socho toh woh kaun hai, sharmila dildaar – (2)
Jisaki mast nasheeli najare aise jaise jaam – (2)
Humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam
Nain milaakar chain churaana, kiska hai yeh kaam
Humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam
Jaagi jaagi si jara, kuchh soyi soyi – (2)
Aankhein bhi uss shokh ki hai khoyi khoyi
Shola hai woh phul hai yaa sapana koyi – (2)
Jisaki khaatir koyi bhi ho sakata hai badnaam – (2)
Are humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam
Nain milaakar chain churaana, kiska hai yeh kaam
Humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam