Aamne Samne (1982) – Tu Main Ban Gaya, Main Tu Ban Gaya Song Lyrics

Casting Mithun Chakraborty in a dual role along with Bindiya Goswami, Aarti Gupta, Tarun Ghosh, Dinesh Thakur, Kamal Kapoor and Leela Mishra in significant characters, Aamne Samne (1982) is a Bollywood drama segment released in 1982. The story revolves around a simple-minded field worker who opposes his employer when finds that the workers are forced to use opium instead of crops in the fields.

Album: Aamne Samne (1982)

Song: Tu Main Ban Gaya, Main Tu Ban Gaya


Lyrics

(Tu main ban gaya, main tu ban gaya – (2)
Badal gaye hum bam chik bam bum – (2)
Yeh main jaanu ya tu jaane, kaun kaun hai yeh kaun jaane) – (2)
Are tu main ban gaya, main tu ban gaya

Aamane saamane aaye hum aise, dekhata hai koyi aaina jaise – (2)
Tu bhi hairaan hai, main bhi hairaan hoon – (2)
Koyi aaye aake hamein pehchaane
Kaun kaun hai yeh kaun jaane
Are tu main ban gaya, main tu ban gaya

(Do badan do hansi navjawaan dekho
Dono mein jaise hai ek jaan dekho) – (2)
Jaadu sa chha gaya, dhoka main kha gaya – (2)
Kya karenge log bhala anjaane, kaun kaun hai yeh kaun jaane
Are tu main ban gaya, main tu ban gaya
Badal gaye hum bam chik bam bum – (2)
Yeh main jaanu ya tu jaane, kaun kaun hai yeh kaun jaane
Hey tu main ban gaya, main tu ban gaya