Aan – 1952 – Huye Gam Tere Ek Song Lyrics

Formed under the direction and production of Mehboob Khan, Aan (1952) is a drama film segment whose story revolves around an imperial family. The main cast of this film includes Nadira, Dilip Kumar, Premnath, and Nimmi. Shot in a color motion picture process, it was the first technicolour movie of India.

Album: Aan – 1952

Song: Huye Gam Tere Ek


Lyrics

Ra : chupchaap so rahe hain vo aanbaan vaale
Aakhir gire zameen par oonchi udaan vaale

La : tujhe kho diya hamne paane ke baad
Ho
Tujhe kho diya hamne paane ke baad
Teri yaad aayi
Teri yaad aayi tere jaane ke baad
Teri yaad aayi
Tujhe kho diya hamne

Mila tha na jab tak judaai ka gam
mohabbat ka matlab na samajhe the ham
Tadapne lage teer khaane ke baad
Tadapne lage
Tadapne lage teer khaane ke baad
Teri yaad aayi
Teri yaad aayi tere jaane ke baad
Teri yaad aayi
Tujhe kho diya hamane

Nigaahon mein ab tu samaane laga
Tera naam honthon pe aane laga
Huye ham tere ek zamaane ke baad
Huye ham tere
Huye ham tere ek zamaane ke baad
Teri yaad aai
Teri yaad aai tere jaane ke baad
Teri yaad aai
Tujhe kho diya hamane

Mohabbat mili aur tu kho gaya
Tu kho gaya
O
Badalate hi qismat ye kya ho gaya
Kya ho gaya
Kushi chhin gai dil lagaane ke baad
Kushi chhin gai
Kushi chhin gai dil lagaane ke baad
Teri yaad aai
Teri yaad aai tere jaane ke baad
Teri yaad aai