Aan Baan (1972) – Badnaam Ho Gaya Dil Song Lyrics

Featruing Raakhee Gulzar, Pran Sikand, and Rajendra Kumar, Aan Baan (1972) is a Hindi drama movie which is directed by Prakash Mehra. The story is about a ruler who is involved in unethical acts such as performing alcohol addiction, womanizing, illegal borrowing of money, etc. He also makes an affair with a whore and rejects to marry her.

Album: Aan Baan (1972)

Song: Badnaam Ho Gaya Dil


Lyrics

Aap bahot der se aaye raaja bahaddur, abb main dukaan band kar chuki hu
Hum kisi dukaan par nahi aaye dulhaari, tumhaare ghar aaye hai
Humein baithane ke liye nahi puchhogi, ji aayiye tashrif rakhiye
Tum bhi baitho hamaare paas
Jis dulhaari ko aap bula rahe hai
Woh toh kab ki mar chuki hai raaja bahaadur
Aur jo aapke saamane hai woh toh ik chita hai
Jo abb tak jal rahi hai, sulag rahi hai
Kehate hai chita ko chhedana paap hota hai
Khair aap yeh bataayiye kya sunenge
Aaj tum jo sunaaogi hum sunenge
Toh phir aap biti suniye, meri kahaani, meri jabaani
Badnaam ho gaya dil ha ha ha ha
(Badnaam ho gaya dil, bas aapki badaulat
Hamne sajaayi mehfil, bas aapki badaulat) – (2)
Badnaam ho gaya dil

Humse waha jo karte, hum kyun yaha pe aate – (2)
Hum bhich phul ghar ke ghar mein hi muskuraate
Paayi hai kaisi manjil, bas aapki badaulat
Badnaam ho gaya dil, bas aapki badaulat
Hamne sajaayi mehfil, bas aapki badaulat
Badnaam ho gaya dil

Hasti mitaayi hamne, lekin na aap maane – (2)
Aurat ka pyaar kya hai, sarkaar yeh na jaane
Saara ?? bismil, bas aapki badaulat
Badnaam ho gaya dil, bas aapki badaulat
Hamne sajaayi mehfil, bas aapki badaulat
Badnaam ho gaya dil

Has haske jal rahe hai, hum apani chaandani mein – (2)
Humne sukun na paaya, do din ki jindagi mein
Barbaadiya hai shaamil, bas aapki badaulat
Badnaam ho gaya dil, bas aapki badaulat
Hamne sajaayi mehfil, bas aapki badaulat
Badnaam ho gaya dil