Aan Baan (1972) – Lo Hum Aaye Dulha Bhaiya Ke Baaraati Banake Song Lyrics

Featruing Raakhee Gulzar, Pran Sikand, and Rajendra Kumar, Aan Baan (1972) is a Hindi drama movie which is directed by Prakash Mehra. The story is about a ruler who is involved in unethical acts such as performing alcohol addiction, womanizing, illegal borrowing of money, etc. He also makes an affair with a whore and rejects to marry her.

Album: Aan Baan (1972)

Song: Lo Hum Aaye Dulha Bhaiya Ke Baaraati Banake


Lyrics

Bade bhai ki baraat mein bhai naachate gaate chalate hai
Aap naachenge nahi
Kyun nahi laala ji main sirf naachunga nahi, gaayunga bhi
Sarkaar
Mat puchho jo khushi ke maare, aaj hai apana haal
Aankhon mein chhaayi hai masti, behek rahi hai chaal
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake – (2)
Aaj duniya hai hamaari -2 chalenge tan ke
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake – (2)

(Pyaar ke dekho kaise kaise rang aaye hai sehare mein
Hamne apane armaano ke phul sajaaye sehare mein) – (2)
Dil ke gulshan se -2 laaye hai jo chun chunake
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake – (2)

(Waha talak khushiya hi khushiya, najar jaha tak jaati hai
Khush kismat logo ko kismat aisa din dikhlaati hai) – (2)
Isi din ko -2 gujaare din gin ginake
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake – (2)

(Khushi mein dhadkan tej ho gayi, tej karo lay baaje ki
Apani manjil tak aa pahunchi, ghodi dulhe raaje ki) – (2)
Ho dil jhume hoy -2 shehnaayi ki sadaayein sunake
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake – (2)
Aaj duniya hai hamaari -2 chalenge tan ke
Ke lo hum aaye dulha bhaiya ke baaraati banake – (2)