Aanchal – Ga Rahi Hai Zindagi Har Taraf Song Lyrics

Casting Dhumal, Sudesh Kumar, Nanda, Nirupa Roy, and Ashok Kumar, Aanchal (1960) is a Hindi Bollywood segment which is directed by Anil Ganguly and Vasant Joglekar. The music direction was given by C. Ramchandra while the songs were voiced by Lata Mangeshkar, Kishore Kumar, Asha Bhosle, Suman Kalyanpur, and Mahendra Kapoor.

Album: Aanchal

Song: Ga Rahi Hai Zindagi Har Taraf


Lyrics

(Ga rahi hai zindgi har
Taraf bahar me kis liye
Char chand lag gaye hai
Tere mere pyar me is liye) – (2)

(Aa gaya aanchal kisi
Ka aaj mere hath me) – (2)
(Hai chakori aaj apne
Chandrma ke sath me) – (2)
Chal padi do kishtiya
Aaj ek dhar me kis liye
Char chand lag gaye
Hai tere mere pyar me is liye
Ga rahi hai zindgi har
Taraf bahar me kis liye
Char chand lag gaye hai
Tere mere pyar me is liye

(Chhu rahi tan man ko
Meri prit ki purwayiya
Door ki ambrayio me
Gunjti shehnayiya) – (2)
Sau guna nikhar hai
Aaj to singar me kis liye
Char chand lag gaye hai
Tere mere pyar me is liye
Ga rahi hai zindgi har
Taraf bahar me kis liye
Char chand lag gaye hai
Tere mere pyar me is liye

(Zindgi bhar ke liye
Tu bah meri tham le) – (2)
(Jab talak ye sans hai
Har sans tera naam le) – (2)
Ik nayi duniya khadi apne
Intezar me kis liye
Char chand lag gaye
Hai tere mere pyar me is liye
Ga rahi hai zindgi har
Taraf bahar me kis liye
Char chand lag gaye hai
Tere mere pyar me is liye