Aarti (1962) – Ab Kya Misaal Doon Song Lyrics

Ab Kya Misaal Doon Lyrics from Aarti (1962): The song is sung by Mohammed Rafi, composed by Roshan Lal with lyrics written by Majrooh Sultanpuri and it features Ashok Kumar, Meena Kumari, Pradeep Kumar, Shashikala, Rajendra Nath, Vijaya Choudhury, and Keshto.


Ab kya misaal doon main tumhare shabaab ki
Insaan ban gayi hai kiran mahtaab kiChehre mein ghul gaya hai haseen chandni ka noor
Aankhon mein hai chaman ki jawan raat ka suroor
Gardan hai ek jhuki hui daali gulaab ki
Ab kya misaal doon…Gesu khule to shaam ke dil se dhuan uthe
Chhu le kadam to jhuke na phir aasman uthe
Sau baar jhilmilaye shama aaftab ki
Ab kya misaal doon…Deewar-o-dar ka rang, yeh aanchal, yeh pairhan
Ghar ka mere chirag hai boota sa yeh badan
Tasveer ho tumhi jannat ke khwab ki
Ab kya misaal doon…


Singer: Mohammed Rafi

Lyricist: Majrooh Sultanpuri

Music: Roshan Lal