Baabul – 2006 – Keh Raha Hai Dil Diwana Song Lyrics

When a daughter-in-law becomes a widow while she is still young and have a kid to raise and the whole life in front of her, isn’t it the duty of the father-in-law to give her a new life. This moral sense is very well depicted in this 2006 release called Baabul. The film did an average business in Indian market. However, it garnered massive responses at the overseas market.

Album: Baabul – 2006

Song: Keh Raha Hai Dil Diwana


Lyrics

Keh rahaa hai dil diwaanaa jaane jaa khaake kasam – 2

Hum ishq main mar jaayenge kuch bhi sanam kar jaayenge
Chodenge naa daaman yaar kaa ((wada raha – 3) pyaar kaa) – 2

Keh rahaa hai dil diwaanaa jaane jaa khaake kasam

Dooriyaan naa ab zaraa ho jaanaa, saanso ke ye darmiyaan
Chhedati hai dhadakano ko pal pal mausam ki narmiyaan
To aaja chahato ki shabanam pi le, lamho main sadiyon ko ji le
Keh raha hai, pal suhana, jaane jaa khaake kasam

Tu khayaalo ke hansi saaye mein rehata hai raat din,
Kuch nahi hai zindagaani meri, ab tanhaa tere bin
To aaja janmo kaa bandhan jode, thaam ke baahen naa chhode
Keh raha hai, har phasaanaa, jaane jaa khaake kasam
Keh raha hai dil diwaanaa, jaane jaa khaake kasam
Hum ishq mein mar jaayenge kuch bhi sanam kar jaayenge
Chhodenge naa daaman yaar kaa, ((wada raha – 3) pyaar kaa) – 2