Baazigar – Samajhkar Chand Jisko Aasman Ne Song Lyrics

Baazigar is a blockbuster movie of 1993 that lifted Shahrukh Khan’s acting career to a greater height. It is directed by Abbas-Mustan and is based on a novel called A Kiss Before Dying. It is basically a revenge story, but showcased in a different way breaking the moving-making formula as the main hero is also the villain, but attracts sympathy from audience. After this movie, heroes started accepting negative roles after the success of this film.

Album: Baazigar

Song: Samajhkar Chand Jisko Aasman Ne


Lyrics

Samajhkar chand jisko aasman ne dil me rakha hai – (2)
Mere mehbub ki tuti huyi chudi kaa tukda hai – (2)
Samajhkar chand jisko aasman ne dil me rakha hai – (2)
Meree najro se dekho toh woh mere dil kaa tukda hai – (2)

Tere mehendi lage hatho me jab hudi khanakti hai
Toh iss gori kalayi me (yeh dil banke dhadakti hai – 3)
Yeh chudi aashiko ko pyar ke nagme sunati hai
Suhani rat ki khamoshiyo me hir gati hai
Yeh chudi hir gati hai – (2)
Jamin par jo utar aaya yeh woh jannat kaa nagma hai
Samajhkar chand jisko aasman ne dil me rakha hai
Mere mehbub ki tuti huyi chudi kaa tukda hai
Meree najro se dekho toh woh mere dil kaa tukda hai

Mere mehbub jaisa iss jamane me nahi koyi
Diya leke bhi dhundo toh (nahi aisa hasi koyi – 3)
Kabhi tute se tute naa hamare pyar ki dori
Teree chahat bhi bas mere liye anmol hai gori
Badi anmol hai gori – (2)
Juda ham tum nahi honge humara tumse wada hai
Samajhkar chand jisko aasman ne dil me rakha hai
Meree najro se dekho toh woh mere dil kaa tukda hai
Mere mehbub ki tuti huyi chudi kaa tukda hai