Badal – 1951 – Duniya Badal Rahi Hai Song Lyrics

This is an Indianized version of legend of Sherwood Forest where the King is far away and the Jaagirdar and his henchmen are involved in looting poor people. The hero robs the tyrants and aids the repressed and poor. Starring Prem Nath, Madhubala and Purnima in leading roles, this movie was directed by Amiya Chakraborty and the music composition was done by Shankar and Jaikishen.

Album: Badal – 1951

Song: Duniya Badal Rahi Hai


Lyrics

Duniya badal rahi hai aansu bahaane waale
Aansu bahaane waale
Toofaan aansuon ka palakon mein ab chhupa le
Aansu bahaane waale

( dil mera tujh se bole
Aansu bana le shole ) -2
Ummeed ki kiran se ye dil ka daag dho le
In gam ki aandhiyon mein man ke diye jala le
Aansu bahaane waale
Toofaan aansuon ka palakon mein ab chhupa le
Aansu bahaane waale

( ab door kar andhera
Chamakega phir savera ) -2
Tujhase nazar mila kar bhar aaya dil bhi mera
Ujadi jawaaniyon se bigadi ko tu bana le
Aansu bahaane waale
Toofaan aansuon ka palakon mein ab chhupa le
Aansu bahaane waale

( tu bhi to ab badal ja
Ye vaqt hai sambhal ja ) -2
Rokega kaun tujhako ek teer ban ke chal ja
Main dil ka saaz chhedoon tu sukh ke geet ga le
Aansu bahaane waale
Toofaan aansuon ka palakon mein ab chhupa le
Aansu bahaane waale