Badal – 1966 – Apne Liye Jiye Toh Kya Jiye Song Lyrics

This movie released under the banner of Super Pictures was a romantic film starring Sanjeev Kumar, Shammi Kapoor, K Vijayalaxmi, Sheikh Mukhtar, Hiralal, Helen and Kamal Mehra. The film was directed by Aspi Azad and the music composition was done by Usha Khanna.

Album: Badal – 1966

Song: Apne Liye Jiye Toh Kya Jiye


Lyrics

Khudgaj duniya me yeh, insan ki pehchan hai
Jo parayi aag me jal jaale, woh insan hai

Apne liye jiye toh kya jiye – (2)
Too ji yeh dil jamane ke liye
Apne liye jiye toh kya jiye………

Bajar se jamane ke, kuchh bhi naa ham kharidenge – (2)
Ha, bechkar khushi apni, logo ke gham kharidenge
Bujhte diye jalane ke liye -2, too ji yeh dil jamane ke liye
Apne liye jiye toh kya jiye………

Apni khudi ko jo samjha usne khuda ko pehchana
Aajhad fitrate insan, andaz kyu bhula mana
Sar yeh nahi jhukane ke liye -2, too ji yeh dil jamane ke liye
Apne liye jiye toh kya jiye………

Himmat buland hai apni patthar si jan rakhte hain
Kadmo tale jamin toh kya, ham aasman rakhte hain
Girte huwo ko uthhane ke liye, too ji yeh dil jamane ke liye
Apne liye jiye toh kya jiye………

Chal aaftaab lekar chal chal mehtaab lekar chal – (2)
Too apni ek thhokar me sau inqalaab lekar chal
Julm aur sitam mitane ke liye, too ji yeh dil jamane ke liye
Apne liye jiye toh kya jiye………