Badal Aur Bijli – Galiya Galiya Dhundh Chuki Mai Song Lyrics

This movie was released in the year 1956 and was directed by Morris. The leading star cast included Manhar Desai, Manorama, Kumar, Ameeta and Anwar Hussain. The music was composed by Bipin Babul.

Album: Badal Aur Bijli

Song: Galiya Galiya Dhundh Chuki Mai


Lyrics

Galiya galiya dhundh chuki mai – (2)
Kaha ho bata do sajana – (3)
Galiya galiya dhundh chuki mai – (2)

Yeh socha tha sapne hamare, ik din pure ho jayenge
Sath jiyenge sath marenge, ik duje me kho jayenge
Bikhare sapne sare ro ro naina hare, pure huye naa arman
Kaha ho bata do sajana, galiya galiya dhundh chuki mai – (2)

Naa tadpao aa bhi jao, darde judayi sah naa sakungi
Git hain jo mere dil ke, aur kisi se kah naa sakungi
Tute aas ke tare meraa pyar pukare, tum bin soona hai jaha
Kaha ho bata do sajana, galiya galiya dhundh chuki main-2
Kaha ho bata do sajana – (2)
Galiya galiya dhundh chuki mai – (3)