Badmaash Company – Fakeera Fakeera Song Lyrics

Badmassh Company is a movie made under the Yash Raj Films banner in 2010. Aditya Chopra, the producer, handed over the rein of direction to Parmeet Sethi for whom it was his first as a director. The plot in the movie is based on three youngsters who dream of making big by importing goods from Bangkok evading custom duty. Shahid Kapoor and Anushka Sharma are the leading pairs.

Album: Badmaash Company

Song: Fakeera Fakeera


Lyrics

(Chhaani jo khaak toh mitake sona tu ban gaya
Ghumon ki aag mein tapake suraj tu ban gaya) – (2)
Aaj paaya hai tune sab khoke murida
Mili jannat tujhe toh jab bigada naseeba
Fakeera fakeera fakeera…… fakeera fakeera aa aa aa….

Haathon se nikali manjil jab yeh daaman chhut gaya
Ai bekhabar tu benur hoke roshan ho gaya
Bhari yeh khaali si jholi jo tu bhataka dar badar
Yeh bhi na jaane yeh kaafir ki duwa ka hai asar
Jo taare sa tuta sab khwaaish milegi
Jara haathon ko faila mannate sab milengi
Fakeera fakeera fakeera…… fakeera fakeera aa aa aa….

Huwa tabaah aur had se jyaada khoya jab karaar
Udi udi tab saasein jaise udata hai gubaar
Socha kare kis pal mein dil ko raahat hai mili
Khuda ke ghar mein taalim tujhako girake jab mili
Aaj paaya hai tune sab khoke murida
Mili jannat tujhe toh jab bigada naseeba
Fakeera fakeera fakeera…… fakeera aa aa aa….