Baharen Phir Bhi Aayengi – Aap Ke Hasin Rukh Pe Song Lyrics

This movie produced by Guru Dutt had direction done by Mr Shaheed Latif and starred Dharmendra, Mala Sinha, Rehman and Tanuja in leading roles. The movie is remembered still for the music composition done by O.P Nayyar and songs such as “Aapke Haseen Rukh Pe,” and “Koi Kehde” sung by Mohammed Rafi and Asha Bhosle respectively.

Album: Baharen Phir Bhi Aayengi

Song: Aap Ke Hasin Rukh Pe

Lyrics

Aap ke haseen rukh pe aaj nayaa noor hain
Meraa dil machal gayaa to meraa kyaa kasoor hain
Aap ke nigaah ne kahaa to kuchh jarur hain
Meraa dil machal gayaa to meraa kyaa kasoor hain

Khulee laton kee chhaanv mein khilaa khilaa ye rup hain
Ghataa se jaise chhan rahee, subah subah kee dhoop hain
Jidhar najar moodee, udhar surur hee surur hain
Meraa dil machal gayaa to meraa kyaa kasoor hain

Zukee zukee nigaah mein bhee hain balaa kee shaukhiyaan
Dabee dabee hasee mein bhee tadap rahee hain bijaliyaan
Shabaab aap kaa, nashe mein khud hee choor choor hain
Meraa dil machal gayaa to meraa kyaa kasoor hain

Jahaan jahaan pade kadam wahaan fijaa badal gayee
Ke jaise sarabasar bahaar aap hee mein dhal gayee
Kisee mein ye kashish kahaa jo aap mein hujoor hain