Bangistan – Maula Song Lyrics

Maula Lyrics from Bangistan: The song is sung by Rituraj and Ram Sampath featuring Riteish Deshmukh and Pulkit Samrat, composed by Ram Sampath and very well written by Puneet Krishna.


Mujhko kuch bhi pata nahi tha
Waqt bada hi achha tha
Mera koi dharm nahin tha
Jab main chota baccha tha
Phir ek majhab milte hi
Mera bachpan chhoot gaya
Dooje dharam ka dost wo mera
Us se rishta toot gaya
Wo zinda hai yaa mar gaya
Uska koi zikr nahin Nahin Ishwar Maula mera
Mera Maula Ishwar nahin
Nahin Ishwar Maula mera
Mera Maula Ishwar nahin
Allah hoo Allah hoo
Hey Ram Ram Ram…
Allah hoo Allah hoo
Hey Ram Ram Ram… Jung ki taiyyari mein hoon
Geeta Quran padh ke
Jo waqt bach gaya wo
main kaatunga tujhse lad ke
Meri to bas ye fitrat
Hathiyaar main dharunga
Jannat ho ya Jahannum
Vyaapar main karunga
Hogi ye duniya khoobsurat
Mujhko to kadar nahin Nahin Ishwar Maula mera
Mera Maula Ishwar nahin
Nahin Ishwar Maula mera
Mera Maula Ishwar nahin Tum mein hum mein
Har aadam mein har khushi mein
Ranj-o-gham mein
Ghunghroo mein, payal ki cham mein
Sajni mein uske baalam mein Tu hi tu hai… Din raat padhun wo qalma hai
Tu Dukhtar hai tu hi Maa hai
Meri rooh to aisi chumi
Mera naam aaj se Rumi hai
Tu hai to sab hai bhara bhara
Tu hai fikar nahin Nahin Ishwar Maula mera
Mera Maula Ishwar nahin
Nahin Ishwar Maula mera
Mera Maula Ishwar nahin Allah hoo Allah hoo
Hey Ram Ram Ram…


Singer: Rituraj Mohanty, Ram Sampath

Lyricist: Puneet Krishna

Music: Ram Sampath