Chand Ke Saath – Mann Bahot Anmana Song Lyrics

Chand Ke Saath is a musical presentation for those who love slow, melodious and meaningful songs. This music album was introduced in 2009 and featured great singing artists – Asha Bhonsale, Hariharan, and Roop Kumar Rathod. If you love soft, slow and good music, this gift is especially for you.

Album: Chand Ke Saath

Song: Mann Bahot Anmana


Lyrics

Mann bahot anmana
Phir udaasi wahin
Mann bahot anmana, phir udaasi wahin
Jaane kaisi hawaayein chali shaam se
Mann ki uljhan kahe, dil ki dhadkan kahe
Aaj usane pukaara mujhe naam se
Mann bahot anmana
Phir udaasi wahin

(Hum samete huye vedana vaksh mein
Hum sanjoye huye preeti mann mein teri) – (2)
Mann ka upwan suvaasit teri shwaas se
Nishi mein sapane tere din mein yaadein teri
Mann bahot anmana
Phir udaasi wahin

(Shaam se hi hawaao mein kitani tapan
Mann mein kaisi tadap tan mein kaisi agan) – (2)
Chaand taare kahein keh raha hai gagan
Mann mein uljhan tere kitani mann mein chubhan
Mann bahot anmana
Phir udaasi wahin

(Meri rag rag mein priywar samaaye ho tum
Mere geeton ke gunjan mein chhaaye ho tum) – (2)
Mann ki beena hai jhankrut tere raag se
Mann mein itani kasak bhar gaye kyun nayan
Mann bahot anmana
Phir udaasi wahin
Jaane kaisi hawaayein chali shaam se
Mann ki uljhan kahe, dil ki dhadkan kahe
Aaj usane pukaara mujhe naam se
Mann bahot anmana
Phir udaasi wahin