Chandni Raat – Chhaya Meree Ummid Kee Duneeya Me Andhera Song Lyrics

Formed under the direction of Mohammad Ehsan, Chandni Raat is a 1949 Hindi Bollywood segment which star casts Jillo Bai, Cuckoo, David, Shyam Kumar, and Naseem Bano in main roles. Naushad has provided state-of-the-art music direction which is revealed in fine tuners like ‘Saiya Se Bichhad Gayee Ho More Ram’ and ‘Nigaahein Ruk Gayin Haay Kahaan Par … Kaise Baje Dil Ka Sitaar’.

Album: Chandni Raat

Song: Chhaya Meree Ummid Kee Duneeya Me Andhera


Lyrics

(Chhaya meree ummid kee duneeya me andhera
Abb yeh kise malum hai kab hoga sawera) – (2)

Kho jaye naa mil kar (kahee ulfat kaa khajana -2)
Kho jaye naa mil kar kahee ulfat kaa khajana
Rah jaye naa lut kar kahee aramano kaa dera
Abb yeh kise malum hai kab hoga sawera

Khilane bhee naa payin (abhee kaliya mere dil kee -2)
Khilane bhee naa payin abhee kaliya mere dil kee
Dil tod key ghum ne kiya pehalu me basera
Abb yeh kise malum hai kab hoga sawera

Sunta nahee koyee (kise mai jaa key sunau -2)
Sunta nahee koyee kise mai jaa key sunau
Dukh dard me duba huwa afsana hai mera
Abb yeh kise malum hai kab hoga sawera

Chhaya meree ummid kee duneeya me andhera
Abb yeh kise malum hai kab hoga sawera