Daaera – Devata Tum Ho Meraa Sahara Song Lyrics

This Bollywood movie released in 1953. The lyrics of this film were penned by Mr Kaif Bhopali and Mr. Majrooh Sultanpuri. The music composition of the film is done by Jamal Sen and the lyrics are sung by Mubarak Begum and Talat Mehmood. The direction of the movie is handled by Mr Kamal Amrohi and the film stars Nasir Khan, Roopmala, Meena Kumari and Pratima Devi in pivotal roles.

Album: Daaera

Song: Devata Tum Ho Meraa Sahara


Lyrics

Dal dee mai ne jal thal me nayya
Jagana ho toh jago khevayya – (2)

Devata tum ho meraa sahara, maine thama hai daman tumhara – (2)

Tham lo apnee radha ko bhagawan, ruk naa jaye kahee dil kee dhadkan
Yeh naa kahane lagee koyee birahan, munh chhupakar sanwariya ne mara
Devata tum ho meraa sahara
Devata tum ho meraa sahara, maine thama hai daman tumhara

Mere naino ko tum aise paye, do ghadee mujhko nindiya naa aaye
Meree aankho se aankho ladaye, dubata hai savere kaa tara
Devata tum ho meraa sahara
Devata tum ho meraa sahara, maine thama hai daman tumhara

Rain bharee hai gehra andhera, hath ley lo tum hatho me meraa
So gaye mandiro key pujaree, gunjati hai muraliya tumharee – (2)
Aatma jhumatee hai hamaree, dil khincha ja raha hai hamara
Devata tum ho meraa sahara
Devata tum ho meraa sahara, maine thama hai daman tumhara – (2)

Chhod kar mai naa bhagavan ko jau, rat bhar yu hee jagu jagau
Git ga ga key rou rulau
Yeh vachan lu key mai hu tumhara – (2)
Mai hu tumhara, yeh vachan lu key mai hu tumhara – (2)
Mai hu tumhara