Daasi – Khaamosh Nigaahen Yeh Sunaati Hai Song Lyrics

It is very touching to the heart when a wife is made to act dumb and become a maid to serve her blind and alcoholic husband. This is the story in a movie released in 1981 with the title Daasi. Sanjeev Kumar, Moushumi Chatterjee, and Rakesh Roshan are the leading actors. The film is directed by Raj Khosla.

Album: Daasi

Song: Khaamosh Nigaahen Yeh Sunaati Hai


Lyrics

Khaamosh nigaahen ye sunaati hain kahaani -2
Lo aaj chali thokaren khaane ko jawaani
Khaamosh nigaahen -2

Ye maan liya panchhi
Ye maan liya kaat liye par hain kisi ne
Par dil ki kahaani to hai piya ko sunaani
Khaamosh nigaahen -2

Har su hai andhera to diya ik bhi jale kyon
Phuuti hui kisamat ko hai ab thokaren khaani
Khaamosh nigaahen -2

Hai raat suhaani diye jalate hain hazaaron -2
Hasarat ke andhere se bani aaj deewaani
Aaj deewaani
Khaamosh nigaahen -2

Shaayad ye tere ujade hue dil ki hai tasaveer
Paani ki ravaani mein chiraagon ki ravaani
Khaamosh nigaahen -2

Ghar-baar ujaada teri furaqat mein junuun se
Seene se laga rakhi hai ik teri nishaani
Ik teri nishaani
Kaamosh nigaahen -2

Baazaar mein dhoondha tujhe galiyon mein pukaara
Afasos kisi ne na suni aur na maani
Aur na maani
Khaamosh nigaahen -2

Din-raat tujhe dhoondh rahi
E din-raat tujhe dhoondh rahi hain meri aankhen
Jaayenge jahaan le chale ashqon ki ravaani
Khaamosh nigaahen -2

Taqadeer dar-e-yaar pe aakhir mujhe laayi
Haan taqadeer dar-e-yaar pe aakir mujhe laayi
Sun dil ki kahaani meri aankhon ki zubaani
Khaamosh nigaahen -2