Daata – Baabul Ka Yeh Ghar Song Lyrics

Daata is a 1989 Bollywood film that reflects the ill-effects of the dowry system on the bride and her family. The film is set in the backdrop of a small town of north India. It is directed by Sultan Ahmed, and stars Mithun Chakraborty, Padmini Kolhapure, Suresh Oberoi and Amrish Puri in main roles.

Album: Daata

Song: Baabul Ka Yeh Ghar


Lyrics

Babul ka yeh ghar behna
Kuch din ka thikana hai
Banake dulhan ek din
Tujhe piya ghar jaana hai

Baapu tere angan ki
Main tho ek kali hoon
Is angan ko chod kyun
Kiss aur ka ghar sajana hai

Beti ghar babul ke
Kissi aur ki amanat hai
Dastoor duniya ka
Hum sab ko nibhana hai

Maiya tere anchal ki
Main to ek gudiya re
Tune mujhe janam diya
Tera ghar kyun begana hai

Maiya pe kya beet rahi
Behna tu ye kya jaane
Kaleje ke tukde ko
Roh roh ke bhulana hai

Bhaiya tere baag ki
Main kaise chidiya re
Raat bhar besara hai
Subha udd jaana hai

Behna tere bachpan ki
Yaadei ham sab ko satayengi
Phir bhi teri doli ko
Kaandha to lagana hai

Babul ka yeh ghar behna
Kuch din ka thikana hai
Banke dulhan ek din
Tujhe piya ghar jaana hai…

Posted by : kasish