Dacait (1987) – Woh Teri Duniya Nahin Song Lyrics

Dacait is a 1987 Hindi film directed by Rahul Rawail. It shows how Zamindars oppress poor villagers and live by their will. The story is based on the Chambal area which has been a perfect hideout for real-life dacoits for many years. Sunny Deol, Meenakshi Sheshadri, Urmila Martondkar, and Suresh Oberoi are the main actors in the film.

Album: Dacait (1987)

Song: Woh Teri Duniya Nahin


Lyrics

(Woh teri duniya nahin, woh teri mehfil nahin
Uss taraf mat ja, udhar rasta toh hai manjil nahin) – (2)
Woh teri duniya nahin, woh teri mehfil nahin

Rote teri yaad mein gujarega har saawan mera – (2)
Jab kahenge log daaku ban gaya saajan tera
Mujhape kya -3 gujaregi tu iss baat se gaafil nahin
Uss taraf mat ja, udhar rasta toh hai manjil nahin
Woh teri duniya nahin, woh teri mehfil nahin

Geet bulbul ka hai yeh koyal ki mithi kuk hai – (2)
Jindagi hai phul tere haath mein banduk hai
Tu mera -3 saajan hai saajan, tu koyi kaatil nahi
Uss taraf mat ja, udhar rasta toh hai manjil nahin
Woh teri duniya nahin, woh teri mehfil nahin

Har kasam ko todkar, har ek waada todkar – (2)
Ja raha hai aaj tu nafrat se sabako chhodkar
Kya meri -3 chaahat bhi tere pyaar ke kaabil nahi
(Uss taraf mat ja, udhar rasta toh hai manjil nahin
Woh teri duniya nahin, woh teri mehfil nahin) – (2)