Dada (1949) – Tera Kisi Se Pyar Tha Song Lyrics

Album: Dada (1949)

Song: Tera Kisi Se Pyar Tha


Lyrics

(Tera kisi se pyar tha
Tu wo zamana bhul ja) – (2)

(Guzri hui yeh baat hai
Ab yeh fasana bhul ja) – (2)
Tera kisi se pyar tha
Tu wo zamana bhul ja

Milke jo tu bichhad gaya – 2
Dil ka chaman ujad gaya – 2
(Ruthi huyi bahar ka
Laut ke aana bhul ja) – (2)
Roti huyi jawaniya – 2
Kahti hai ye kahaniya – 2
9jalna tha dil ka aashiya
Ab bujhana bhul ja) – (2)

Badle me tere pyar ke
Gham ko gale laga liya
Gham ko gale laga ke – 2
Tu aasu bahana bhul ja
Gham ko gale laga ke
Tu aasu bahana bhul ja
Tera kisi se pyar tha
Tu wo zamana bhul ja