Dard Ka Rishta (1982) – Ganapati Bappa Moraya Song Lyrics

Dard Ka Rishta is produced and directed by Sunil Dutt and released in 1982. Sunil Dutt made this movie as a tribute to his loving wife, Nargis, who passed away due to leukemia in 1981. The film’s theme is also based on this subject. He is supported by Reena Roy and Smita Patil as co-actors.

Album: Dard Ka Rishta (1982)

Song: Ganapati Bappa Moraya


Lyrics

Ganapati bappa moraya pudhachya varshi lavkar ya

Ganapati bappa moraya agale baras tu juldi aa – (2)
Mere mann mandir mein tu bhagwaan rahein
Mere dukh se tum kaise anjaan rahe
Mere ghar mein kitane din mehmaan rahe
Mere dukh se tum kaise anjaan rahe

Ganapati bappa moraya agale baras tu juldi aa – (2)

(Kitani ummidein band jaati hai tumase tum jab aate ho
Abb ke baras dekhe kya de jaate ho, kya le jaate ho) – (2)
Ganapati bappa moraya agale baras tu juldi aa – (2)
Apane sab bhakton ka tumako dhyaan rahe
Mere dukh se tum kaise anjaan rahe
Mere mann mandir mein tu bhagwaan rahein
Mere dukh se tum kaise anjaan rahe
Ganapati bappa moraya agale baras tu juldi aa – (2)

(Aana jaana jivan hai jo aaya kaise jaaye na
Khilane se pehale hi lekin phul koyi murjhaaye na) – (2)
Ganapati bappa moraya agale baras tu juldi aa – (2)
Nyaay anyaay ki kuchh pehchaan rahe
Mere dukh se tum kaise anjaan rahe
Mere mann mandir mein tu bhagwaan rahein
Mere dukh se tum kaise anjaan rahe
Ganapati bappa moraya agale baras tu juldi aa – (2)
Ho o o o asuvan ka katara katara saagar se bhi hai gehara
Isamein dub na jaau main, tumari jay jay gaau main
Warna ke jab aaoge, tum mujhako na paaoge
Tumako kitana dukh hoga, ganapati bappa moraya
Ganapati bappa moraya agale baras tu juldi aa
Apani jaan ke badale apani jaan main arpan karata hoon
Aakhari darshan karata hoon, abb main visrjan karata hoon
Ganapati bappa moraya -2, agale baras tu juldi aa
Ganapati bappa moraya agale baras tu juldi aa – (6)