Deedar-E-Yaar (1982) – Aaye Woh Phulon Ke Rath Par Song Lyrics

Deedar-E-Yaar is a 1982 love-triangle film directed by Haman Singh Rawail. Though Shobha Kapoor’s name is the producer of the film, Jeetendra invested his major parts of years of earnings in it. However, it did not go well with the audience and the film bombed at the box office leaving Jeetendra in a huge debt.

Album: Deedar-E-Yaar (1982)

Song: Aaye Woh Phulon Ke Rath Par

Lyrics

Aaye woh phulon ke rath par, padi rahu main piya ke path par – (2)
Mann hi mann mein ang lagaau, dur khadi sharmaau main
Aaye woh phulon ke rath par, padi rahu main piya ke path par
Aaye woh phulon ke rath par

Tujhi se jyot jale jivan ki, ek hi abhilaasha hai mann ki
Tujhi se jyot jale jivan ki
Tujhi se milan ho chaahe milan ki raat ko marr jaau main
Aaye woh phulon ke rath par, padi rahu main piya ke path par
Aaye woh phulon ke rath par

Mehnge nahi tum sabke badale, le lu tumhe main toh rab ke badle – (2)
Tum anmol tumhe kya dekar prem kya mol chukaau main
Aaye woh phulon ke rath par, padi rahu main piya ke path par
Aaye woh phulon ke rath par

Jal jaayungi pi ki lagan mein -2 jaise chakori chanda ki angan mein
Raakh male jab mera jogi ang se lag jaau main