Deedar-E-Yaar (1982) – Id Ka Din Hai Song Lyrics

Deedar-E-Yaar is a 1982 love-triangle film directed by Haman Singh Rawail. Though Shobha Kapoor’s name is the producer of the film, Jeetendra invested his major parts of years of earnings in it. However, it did not go well with the audience and the film bombed at the box office leaving Jeetendra in a huge debt.

Album: Deedar-E-Yaar (1982)

Song: Id Ka Din Hai


Lyrics

Aa aa aa aa aa………
Id ka din hai -3 gale aaj toh mil le jaalim
Rasme duniya bhi hai mauka bhi hai dastoor bhi hai – (2)
Ishq iss tarah ke gustaakh takaaje na kare
Husn majdur bhi majbur bhi magroor bhi hai – (2)
Gurur-e-husn ke sadake mohabbat yuun nahi karate – (2)
Gurur-e-husn ke sadake -2 mohabbat yuun nahi karate
Nahi karate haan nahi karate
(Bhari mehfil mein jaahir -2 dil ki vehshat yuun nahi karate) – (2)
Nahi karate haan nahi karate
Gurur-e-husn ke sadake mohabbat yuun nahi karate
Bhari mehfil mein jaahir dil ki vehshat yuun nahi karate

Yeh maana -3 tum haseen ho aur tumhe haq hai sharaarat ka
Yeh maana tum haseen ho aur tumhe har hai sharaarat ka
Ha sharaarat ka ha ha sharaarat ka
Kisi ki jaan pe ban jaaye -2 sharaarat yuun nahi karate
Kisi ki jaan pe ban jaaye sharaarat yuun nahi karate
Jise tum husn kehate ho, kehate ho o o o o…. aa aa aa….
Jise tum husn kehate ho -3 woh kaaba hai nigaahon ka
Ha nigaahon ka ha ha nigaahon ka
Adab laajim hai laajim hai
Adab laajim hai kaabe ki jiyaarat yuun nahi karate – (2)

Aa aa aa aa……
Kuchh apane husn ki khairaat de do, (hum fakiron ko-3)
Kisi saahil ko apane dar se -2 rukhsat yuun nahi karate
Kisi saahil ko apane dar se rukhsat yuun nahi karate
Haya aur sharm ko hum -2 husn ka jewar samjhate hai
Haya aur sharm ko hum husn ka jewar samjhate hai
Jewar samjhate hai, samjhate hai
Yeh jewar lutake reh jaaye -2 jakhavat yuun nahi karate
Yeh jewar lutake reh jaaye jakhavat yuun nahi karate
Tumhaari ik najar par faisala hai jindagaani ka – (3)
Jindagaani ka, jindagaani ka
Masiha hoke bimaaron se -2 gaflat yuun nahi karate
Masiha hoke bimaaron se gaflat yuun nahi karate
Masiha aur hum ha ha ha ha……
Masiha aur hum inn kufrr ki baaton se baaj aao o o o…. – (2)
Baaj aao
Khuda ko chhodkar but ki -2 ibaadat yuun nahi karate
Khuda ko chhodkar but ki ibaadat yuun nahi karate
Aapne jo kahaan woh thik sahi, mera kehana bhi kuchh bura toh nahi
Ke id ka din hai gale aaj toh mil le jaalim
Rasme duniya bhi hai mauka bhi hai dastoor bhi hai….