Ek Duje Ke Liye – Hum Tum Dono Jab Mil Jayenge Song Lyrics

Ek Duje Ke Liye is a blockbuster movie by K. Balachander and L. V. Prasad. It was a debut film of Rati Agnihotri, and Kamal Hassan in Bollywood. It was released in 1981 and is a love story in which both the lovers are facing problems from their parents because of difference in their ethnicity. Kamal Hassan is playing a south Indian guy and Rati Agnihotri, a north Indian girl.

Album: Ek Duje Ke Liye

Song: Hum Tum Dono Jab Mil Jayenge


Lyrics

Hum tum dono jab mil jayenge – 2
Ek naya itihas banayenge

Aur agar hum na mil paye to – 2
To bhi ek naya itihas banayenge
Hum tum dono jab mil jayenge

Sal mahine har gaye – 2
Dil jit gaya aur judai ka lo ek din bit gaya
Gin gin ke ye duri ke din yu jina mushkil hai lekin
Hum phir bhi jikar dikhlayenge – 2
Ek naya itihas banayenge
Hum tum dono jab mil jayenge

Duniya me kitne logo ne prem kiya
Duniya ne kitne premo ka khun piya
Pyasi talwar nahi rukti
Kyu iss ki pyas nahi bujhti
Hum duniya ki pyas bujhayenge – 2
Ek naya itihas banayenge
Hum tum dono jab mil jayenge

Phir ye dil din raat tadapta rehta hai
Jab hum se be-dard zamana kehta hai
Milna koyi jo khwabo me
Kitne hai naam kitabo me

Hum un me kyu naam likhayenge – 2

Ek naya itihas banayenge
Aur agar hum na mil paye to
To bhi ek naya itihas banayenge
Hum tum dono jab mil jayenge – 2