Ek Musafir Ek Hasina – Aap Yu Hee Agar Ham Se Milte Rahe Song Lyrics

Ek Musafir Ek Hasina is a super-hit movie the songs of which are even fresh today. It was the second highest grosser at the box office. It is directed by Raj Khosla, and produced by Sashadhar Mukherjee, who is the father of Joy Mukherjee. Besides the story that is set during the period immediate after the independence, the music in the film by O. P. Nayyar’s played the trump card.

Album: Ek Musafir Ek Hasina

Song: Aap Yu Hee Agar Ham Se Milte Rahe


Lyrics

Aap yu hee agar ham se milte rahe
Dekhiye ek din pyar ho jayega
Aisee bate na karo hasin jadugar
Meraa dil teree aankho me kho jayega

Pichhe pichhe mere aap aatee hai kyon
Meree raho me aankhe bichatee hai kyon
Aap aatee hai kyon
Kya kahu aap se yeh bhee ek raj hai
Ek din iska ijhar ho jayega

Me mohobbat kee raho se anjan hu
Kya kahun kya karun me pareshan hu
Hai, pareshan hu
Aap kee yeh pareshaniya dekh kar
Meraa dil bhee pareshan ho jayega

Kaisee jadugaree kee aare jadugar
Tere chehere se hatthee nahee yeh najar
Hai meree yeh najar
Aisee najaro se dekha agar aap ne
Sharam se rang gulnar ho jayega

Aap yu hee agar ham se milte rahe
Dekhiye ek din pyar ho jayega
Aisee bate na karo hasin jadugar
Meraa dil teree aankho me kho jayega