Ek Phool Do Mali – Aulad Walo Phulo Phalo Song Lyrics

Ek Phool Do Mali is a love story, and an emotional drama film released in 1969. Devendra Goel is the director and producer on this film. The story is written by Mushtaq Jalili who has brilliantly narrated how emotions and human relationships rank higher than biological elements. With great story, loving and meaningful songs, and equally good performances, the film notched the third position in terms of revenue.

Album: Ek Phool Do Mali

Song: Aulad Walo Phulo Phalo


Lyrics

Kar de madad garib kee teraa sukhee rahe sansar
Bachho kee kilkaree se gunje sara gharbar

Aulad walo phulo phalo – (2)
Bhukhe garib kee yeh hee duwa hai
Aulad walo………

Paise do paise se tumhara kuchh na ghatega daulat walo
Le lo duwaye nirdhan kee dhan aur badhega daulat walo
Usiko mila hai jag me jisne diya hai
Aulad walo………

Jug jug jiye teraa lal, rahe kushhal sada teraa nam karega
Har pal jay jaykar kare sansar yeh aisa nam karega
Bhalayee ka badla bhalayee mila hai
Bhukhe garib kee……..
Aulad walo………

Dhanya hai woh insan kare kurban jo dil kee saree kushiya
Apne ghar ka dipak de kar roshan kar de kisee kee duniya
Woh insan nahee hai ik devta hai
Aulad walo………