Ek Phool Do Mali – Chal Chal Re Naujawan Song Lyrics

Ek Phool Do Mali is a love story, and an emotional drama film released in 1969. Devendra Goel is the director and producer on this film. The story is written by Mushtaq Jalili who has brilliantly narrated how emotions and human relationships rank higher than biological elements. With great story, loving and meaningful songs, and equally good performances, the film notched the third position in terms of revenue.

Album: Ek Phool Do Mali

Song: Chal Chal Re Naujawan


Lyrics

Chal chal re naujawan – (2)
Jina teraa kam nahee, marna teree shan
Chal chal re naujawan
Parbat pe chade ja, bin maut mare ja
Jayegee teree jan magar, hoga teraa nam
Chal chal re naujawan

Kaise jau aage, sasujee kaise jau aage
Uncha pahad niche geheree geheree khayee dar lage
Kaise jau aage……..

Jo wada kiya woh, nibhana padega
Sar phut jaye chahe, tang tut jaye tujh ko
Jana padega jo wada kiya woh nibhana padega

Tu apnee mummy ke kehene me aakar
Kyon khil khilatee hai mujh ko satakar
Ek din tu hogee udhas, dekhegee jab meree lash
Ho kar ke ladke kyon karta bahane, rag rag teree koyee jane najane
Lekin mai hu teree sas, janu tu hai badaash…….

Jindagee bhar nahee chhodunga teree betee ka hath
Chod de gar tu mother in law yeh pahad kee bat…..

Abb der na kar mere lala, teree rah take hai himala
Khane padenge ghuse thapad aur jo tune tala re…..

Meree jan tumharee khidkee me, ek pyar ka touch tho rehta hai
Afsos toh yeh teree mummy ka, muh suja suja rehta hai…

Jhute ko rehne do, jhuta na utavo
Jhuta jo uth gaya toh yeh bhee ho jayega
Meree tarah ganja, meree tarah ganja

Me chala me chala, sar pe bandhe kafan
Maut ke nind me, tata ay janeman