Ek Phool Do Mali – Kismat Ke Khel Nirale Mere Bhaiyya Song Lyrics

Ek Phool Do Mali is a love story, and an emotional drama film released in 1969. Devendra Goel is the director and producer on this film. The story is written by Mushtaq Jalili who has brilliantly narrated how emotions and human relationships rank higher than biological elements. With great story, loving and meaningful songs, and equally good performances, the film notched the third position in terms of revenue.

Album: Ek Phool Do Mali

Song: Kismat Ke Khel Nirale Mere Bhaiyya


Lyrics

Kismat ke khel nirale mere bhaiyya – 2
Kismat ka likha kaun taale mer bhaiyya
Kismat ke khel nirale mere bhaiyya – 2

Kismat ke haath mein duniya ki dor hain
Kismat ke aage tera koi na jor hain
Sab kutch hain usi ke hawale mere bhaiyya
Kismat ke khel nirale mere bhaiyya – 2

Kismat mein likha hain jo sukh ka savera
Kab tak rahega yeh gam ka andhera
Ek din toh milenge ujale mere bhaiyya
Kismat ke khel nirale mere bhaiyya – 2

Yeh sacha teerat uncha himalay
Yeh mann ka mandir sukh ka shuvalay
Dhun yahi pe rama le mere bhaiyya
Kismat ke khel nirale mere bhaiyya – 2

Duniya mein prani kya kya sapne sajaye
Kismat ki aandhi unhe pal mein mitaye
Bigdi ko kaun sambhale mere bhaiyya
Kismat ke khel nirale mere bhaiyya – 2
Kismat ke khel nirale mere bhaiyya – 2
Kismat ka likha kaun taale mer bhaiyya
Kismat ke khel nirale mere bhaiyya – 2