Ek Rishta – Ek Raja Hai, Ek Ranee Hai Song Lyrics

Ek Rishtaa is a 2001 Hindi movie showing the ideological differences between the young and the old generation. It also shows how a rich and happy family gets divided when there is no harmony between the father and son. The film is written, produced, and directed by Suneel Darshan.

Album: Ek Rishta

Song: Ek Raja Hai, Ek Ranee Hai


Lyrics

Oh oh oh oh….. la la la la………
Ek raja hai, ek ranee hai
Pas paisa hai aur jawanee hai
Aur kya jindaganee hai, oh aur kya jindaganee hai
Sab nasibo kee yeh kahanee hai
Teree chahat kee sab nishanee hai
Aur kya jindaganee hai – (2)

Ghar hai ek mandir, tum mere devta ho
Maine rab se mangee, wohee tum duwa ho
Kaun hame duniya me itna pyar dega
Itnee khushee aur aisa sansar dega

Mujhe rehna hai inhee charno me, umrr bahon me yu bitanee hai
Aur kya jindaganee hai, oh aur kya jindaganee hai

Aisee apnee dostee hai aisa dostana
Yad karega hamko sara jamana
Dostee pe bilkul na karna bharosa
Dost banke dete hai log yaha dhoka
Dostee ham na kabhee todenge
Aaj hamne yeh dil me thani hai
Aur kya jindaganee hai, oh aur kya jindaganee hai

Aah aah aah aah aah………
Aisee gulshan toh baharo me khila kartee hai
Aise ma bap nasibo se mila karte hai

Maine har roj duwa mangee hai teree khatir
Meraa har khwab ban gaya hai hakikat aakhir

Inn rishto ko ham nibhayenge, apnee puja bhee aajmanee hai
Aur kya jindaganee hai, ho aur kya jindaganee hai
Ek raja hai, ek ranee hai

Teree chahat kee sab nishanee hai, sab nasibo kee yeh kahanee hai
Hai karam uska, meherbanee hai
Aur kya jindaganee hai, (oh aur kya jindaganee hai -3)