Elaan (1947) – Teraa Jahan Aabad Hai, Meraa Jahan Barbad Hai Song Lyrics

Elan is a 1947 drama film directed by Mehboob Khan. It starred Surendra, Leela Mishra, Mohammad Afzal, and Munawar Sultana in lead roles. The film is set in Muslim community where two cousin brothers are competing each other to marry a girl, who is in love with one of them.

Album: Elaan (1947)

Song: Teraa Jahan Aabad Hai, Meraa Jahan Barbad Hai


Lyrics

Teraa jahan aabad hai, meraa jahan barbad hai
Fariyad hai fariyad hai, aayee aasman fariyad hai
Teraa jahan aabad hai, meraa jahan barbad hai

Tu khush ke tere bag ke, sab phul aakhir khil gaye
Jin kee tamanna thee tujhe, aakhir woh tujhko mil gaye
Mere mukaddar me fakat, gam aur kisee kee yad hai

Teraa jahan aabad hai, meraa jahan barbad hai

Tu kush ke tere hath me, ummid ka jam aa gaya
Meree mohabbat ke liye, rone ka paigam aa gaya

Hairat na kar ai bekhabar, duniya hai ek jadu ka ghar
Do dil hain ek ghar me magar, ek shad ek nashad hai

Fariyad hai fariyad hai, ai aasman fariyad hai
Teraa jahan………