EMI – Aankhon Hi Aankhon Mein Song Lyrics

EMI is a social drama and comedy film released in 2008. It is directed by Saurabh Kabra who has focused on the loan culture that is deeply rooted in modern-day India. His idea behind brining up the pros and cons of loans was simple, that is to take the loan only when you are in need and not for luxury or comfort.

Album: EMI

Song: Aankhon Hi Aankhon Mein


Lyrics

Hmmm ummmmm aahaa ooo hoo
Baithe rahe khayalon mein yu
Uljhe rahein sawaalon mein yuun hi
Umm kitni baatein hai jo kehna paaye unako
Hum toh na the iss tarah
Hooo hoooooo aankhon hi aankhon mein yuun -2 khoye rahein

Bas tumko dekhe, dekhate hi rahe
Ruk jaye lamhein sabhi jaate huye
Kya tumse kehde, aur kya na kahe
Tum hi samajh lo sabhi ai kaash ke
Bas yeh tamanna hai dil jo apna hai, usko mil jao tum
Abb na khayalon mein, na sawalon mein, baahon mein aao tum
Hooo hoooooo aankhon hi aankhon mein yuun -2 khoye rahein

Chand sitare sare benur the, tumse mile to sabhi roshan huye
Yeh sab najare phir mile na mile, ek do kadam hi sahi milkar chale
Kal kisne dekha hai kya bharosa hai, reh na jaaye gile
Yeh ibtada bhi hai intehan bhi hai, hai mohabbat liye
Hooo hoooooo aankhon hi aankhon mein yuun -2 khoye rahein
Khoye rahein, khoye rahein……….