Fast Forward – Nam Nigaahon Se Aansu Na Aaj Hum Chhalakaayenge Song Lyrics

Coming out as a musical action Bollywood offering, Fast Forward is a unique dance film which is directed by Zaigham Ali Syed. It casts Adhyayan Suman, Sheena Shahabadi, Sabina Sheema, Siddhant Karnick, Vinod Khanna, Rehan Khan, Akshay Kapoor, Mahesh Manjrekar, and Bhavna Pani in main roles. Sung by Zubeen Garg, ‘Dil Mein Junoon Josh Bhi Jawaan Hai’ is a spectacular track from this segment.

Album: Fast Forward

Song: Nam Nigaahon Se Aansu Na Aaj Hum Chhalakaayenge


Lyrics

(Nam nigaahon se aansu na aaj hum chhalakaayenge
Tum bhi na rona khud ko bhi yaar hum samjhaayenge) – (2)
Bichhadana tha hamein ik din, abb jina hai tere bin
Tanaha jindagi saari yaadon mein gujaarake
(Khaabon mein pyaar deke, yaadon mein pyaar leke
Khush hai jindagi tumase raahon ke yeh khaar leke) – (2)

Khaabon mein….

Teri thi kami teri hai kami, tu milake bhi na mil saka
Tera hai juda mera hai juda ik hoke bhi abb raasta
Shehar ik hai jagah ik hai manjil ka pata ik hai
Abb na hogi woh manjil, na woh din bahaar ke
(Khaabon mein pyaar deke, yaadon mein pyaar leke
Khush hai jindagi tumase raahon ke yeh khaar leke) – (2)

Na main bewafa na tu bewafa, yeh sama bewafa ho gaya
Na main hoon khafa na tu hai khafa, ha khuda hi khafa ho gaya
Asar kaisa dawa kaisi, hinto pe duwa kaisi
Maage kya khuda se hum chaahat mein yuun haar ke
(Khaabon mein pyaar deke, yaadon mein pyaar leke
Khush hai jindagi tumase raahon ke yeh khaar leke) – (2)