Gaja Gamini – Do Sadiyo Ke Sangam Par Milne Aaye Hain Song Lyrics

Directed by the prominent Indian painter M.F. Husain, Gaja Gamini is a romantic Bollywood offering which was released in the year 2000. Casting Madhuri Dixit, Shahrukh Khan, and Naseeruddin Shah in pivotal roles, this film is known to be Husain’s ode to womanhood. It is about the inspiration through Indian art which carries through different ages and interacts with the art forms of the varied parts of the world.

Album: Gaja Gamini

Song: Do Sadiyo Ke Sangam Par Milne Aaye Hain


Lyrics

Do sadiyo ke sangam par milne aaye hain

Do sadiyo ke sangam par milne aaye hain – (2)

Ek sadee kee shyam jahan par ek sadee kaa wahee savera
Samay naa dale kahee bhee dera

Ek samay lekin do sadiya, do sadiya – (2)

Do sadiyo ke bich uthee – (2)
Ehsas kee ek divar – (2)

Iss divar ke pichhe jake – (2)
Bhes badalta yeh samay – (2)

Kya karta hai shringar
Do sadiyo ke sangam par milne aaye hain – (2)

Ek sadee kee shyam jahan par, ek sadee kaa wahee savera
Samay naa dale kahee bhee dera

Ek samay lekin do sadiya, do sadiya – (2)

Nile rang ke iss davan me, kitne sukun bhare lamhe hain
Nile nile rang me ruh ke sare git ghule hain

Surkhee jaise garam lahu hai, chhalak sharab hai surkhee
Surkhee taja jakhm jaise khilta gulab hai surkhee

Han, jism me behtee saree surkhee, ruh ke sare nile nagme

Do sadiyo ke sangam par milne aaye hain – (2)

Ek sadee kee shyam jahan par ek sadee kaa wahee savera
Samay naa dale kahee bhee dera

Ek samay lekin do sadiya, do sadiya – (2)