Gali Gali Chor Hai – Suno Suno Pata Karo Kaha Hai Hum Song Lyrics

Gali Gali Chor Hai is a 2012 film showcasing aspirations of a common man. The male protagonist is a working in a bank as a cashier, and also performs the role of Hanuman in local Ramleela. He has a doting school teacher wife and a father who dreams of India free of corruption. Something fishy happens in the life of the cashier, where he has to shed away his common man attire and wake up the system with a slap on its face.

Album: Gali Gali Chor Hai

Song: Suno Suno Pata Karo Kaha Hai Hum


Lyrics

(Suno suno pata karo kahan hai hum
Suno suno jahan ho tum wahan hai hum) – 2
Abhi abhi nayi hawa mein aaye hai
Abhi abhi pata chala jawan hai hum
Tum bhi ho yahan hum bhi hai yahan
Jaana hume phir kahan
Suno suno pata karo kahan hai hum
Suno suno jahan ho tum wahan hai hum

Mehboobi mehboobi hai jheel si inn do aankhon mein
Meri saari duniya doobi hai
Dhadkan dhadkan tu bhi hai aaj samajh mein aaya hai
Tujh mein jaane kya kya khoobi hai
Tumne ishaara kar diya khud ko humara kar diya
Tum ho bekhabar hum bhi bekhabar
Chalta hi rahe yeh safar
Suno suno pata karo kahan hai hum
Suno suno jahan ho tum wahan hai hum

Paagal aaj hua hai dil bhar kar apni baahon mein
Tum ko lekar door nikalna hai
Peele peele saaye hai 6 bajne ko aaye hai
Hum dono ko ghar bhi chalna hai
Duniya dikha di khwaab ki
Badi meherbaani aap ki
Rangeen shaam ke apne naam ke
Chaliye chodh ke kuch nishaan
Suno suno pata karo kahan hai hum
Suno suno jahan ho tum wahan hai hum

Abhi abhi nahin hawa mein aaye hai
Abhi abhi pata chala jawan hai hum
Tum bhi ho yahan hum bhi hai yahan
Jana hume phir kahan