Gehra Zakham (1981) – Sheesha-e-dil Mein Teri Tasbeer Hai Song Lyrics

This Bollywood movie released in the year 1981 and was directed by Mr Deepak Bahry. The production is done by Mr M.P Jain. The star cast of the movie is inclusive of Ranjeeta Kaur and Vinod Mehra in lead roles along with Amjad Khan, Kader Khan and Om Shivpuri in supporting characters. The music of the film is composed by Rahul Dev Burman.

Album: Gehra Zakham (1981)

Song: Sheesha-e-dil Mein Teri Tasbeer Hai


Lyrics

O o o kya huwa jo na paayi waha aap se
Pyaar ko mil gaya raasta aap se
Ho kya bataaye hamein kya mila aap se
Jindagi ko mila aasara aap se
O o o raaj dil ka kahaan hai chhupa aap se
Hai har ik dard ka silsila aap se, wallaah

Sheesha-e-dil mein -2 teri tasbeer hai
(Sheesha-e-dil mein teri hi tasbeer hai
Jaanemann muh chhupaane se kya faayada) – (2)
Sheesha-e-dil mein teri hi tasbeer hai

Husn shabnam nahi husn shola bhi hai
Dekhate dekhate tum badal jaaoge
Aa aa aa…. paas aa hi gaye ho toh phir soch lo
Jab yeh parada hatega toh jal jaaoge – (2)
Husn ki aaraju -2 koi aasaan nahi
Jindagi ko mitaane se kya faayada
Sheesha-e-dil mein teri hi tasbeer hai
Jaanemann muh chhupaane se kya faayada
Sheesha-e-dil mein teri hi tasbeer hai

Humse puchho mohabbat mein hota hai kya
Julmen ulfat ke hum bhi gunehgaar hai
Jin adaao ke shaida ho tum jaane jaan
Unn adaao mein hum bhi girftaar hai – (2)
Tum bhi parde mein -2 hum bhi parde mein hai
Baat aage badhaane se kya faayada
Sheesha-e-dil mein teri hi tasbeer hai
Jaanemann muh chhupaane se kya faayada
Sheesha-e-dil mein teri hi tasbeer hai

Ho dil mein teri mohabbat ka armaan hai
Dur se teri mehfil mein aaye hai hum
Aa aa aa aa…
Parade waale na khul jaaye parada tera
Apani aankhon tufaan laaye hai hum – (2)
Teri chaat mein allaah
Teri chaat mein barbaad kab se hai hum
Hamase daaman bachaane se kya faayda
Sheesha-e-dil mein teri hi tasbeer hai
Jaanemann muh chhupaane se kya faayada
Sheesha-e-dil mein teri hi tasbeer hai

Har hansi raaste ke musaafir hai hum
Husn ki jaan hai ishq ki shaan hai
Kaun hai kitane paani mein waaqib hai hum
Tum ho tufaan toh hum bhi chattan hai – (2)
Aamane saamane aa gaye ho toh phir
Raaj dil ka chhupaane se kya faayada
Sheesha-e-dil mein teri hi tasbeer hai
Jaanemann muh chhupaane se kya faayada
Sheesha-e-dil mein teri hi tasbeer hai