Ghar – Aap Ki Aankho Me Kuchh Mehke Huye Se Raj Hai Song Lyrics

This movie released in the year 1978 and was directed by Mr Manik Chatterjee. The film tells the story of a married young couple who try to cope with aftermaths of rape. The movie stars Rekha and Vinod Mehra in leading roles. The lyrics of the film are penned by Gulzar and the music is composed by Rahul Dev Burman.

Album: Ghar

Song: Aap Ki Aankho Me Kuchh Mehke Huye Se Raj Hai


Lyrics

Aap kee aankho me kuchh mehke huye se raj hai – (2)
Aap se bhee khubsurat aap ke andaz hai
Aap kee aankho me kuchh mehke huye se raj hai

Lab hile toh mogare ke phul khilte hai kahee – (2)
Aap kee aankho me kya sahil bhee milte hai kahee
Aap kee khamoshiya bhee aap kee aawaj hai

Aap kee aankho me kuchh mehke huye se raj hai
Aap se bhee khubsurat aap ke andaz hai
Aap kee aankho me kuchh mehke huye se raj hai

Aap kee baton me phir koyee shararat toh nahee – (2)
Bevajeh tareef karna aap kee aadat toh nahee
Aap kee badmashiyo ke yeh naye andaz hai

Aap kee aankho me kuchh mehke huye se raj hai
Ho aap se bhee khubsurat aap ke andaz hai
Aap kee aankho me kuchh mehke huye se raj hai